Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Khalilabadi

  • Ghazal


log kahte hain bahut humne kamai duniya


log kahte haiñ bahut ham ne kamā.ī duniyā
aaj tak merī samajh meñ nahīñ aa.ī duniyā

jab nazar nāma-e-a.amāl ke daftar pe paḌī
nekiyoñ par mujhe ubhrī nazar aa.ī duniyā

zāhirī āñkhoñ se dekho to dikhā.ī de pahāḌ
bātinī āñkhoñ se dekho to hai raa.ī duniyā

ye qadam tere ta.āqub meñ chale haiñ kitnā
ye batā.egī mirī ābla-pā.ī duniyā

jitne dukh-dard tahā.if meñ diye hai tū ne
le ke aa.egī azal sab kī davā.ī duniyā

'faiz' jo phirtī hai ḳhud ḳhāna-ba-doshoñ kī tarah
kyā karegī vo merī rāh-numā.ī duniyā

log kahte hain bahut hum ne kamai duniya
aaj tak meri samajh mein nahin aai duniya

jab nazar nama-e-amal ke daftar pe paDi
nekiyon par mujhe ubhri nazar aai duniya

zahiri aankhon se dekho to dikhai de pahaD
baatini aankhon se dekho to hai rai duniya

ye qadam tere taaqub mein chale hain kitna
ye bataegi meri aabla-pai duniya

jitne dukh-dard tahaif mein diye hai tu ne
le ke aaegi azal sab ki dawai duniya

'faiz' jo phirti hai KHud KHana-ba-doshon ki tarah
kya karegi wo meri rah-numai duniya


Leave a comment

+