dasht-e-ġhurbat meñ agar saath tumhārā hotā
kyuuñ na sadiyoñ kā safar ham ko gavārā hotā
apnī taz.īn se kuchh vaqt bachā kar jānāñ
mere māhaul kī zulfoñ ko sañvārā hotā
apne masnad se zarā nīche utar kar tū ne
ek lamha hī mire saath guzārā hotā
ruk na jaatā vo kisī koh-e-girāñ kī mānind
tū ne gar vaqt ke dariyā ko pukārā hotā
mere be-nūr darīchoñ meñ ziyā kī ḳhātir
koī jugnū koī sūraj koī taarā hotā
dasht-e-ghurbat mein agar sath tumhaara hota
kyun na sadiyon ka safar hum ko gawara hota
apni tazin se kuchh waqt bacha kar jaanan
mere mahaul ki zulfon ko sanwara hota
apne masnad se zara niche utar kar tu ne
ek lamha hi mere sath guzara hota
ruk na jata wo kisi koh-e-giran ki manind
tu ne gar waqt ke dariya ko pukara hota
mere be-nur darichon mein ziya ki KHatir
koi jugnu koi suraj koi tara hota
Source: Book : Kashkol (Pg. 89) Author : Tahir Faraz Publication : Isteara Publications (2004) Edition : 2004
Leave a comment