Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Mahir

  • Ghazal


teri yaadon ki naqqashi khurach kar phenk aae hain


tirī yādoñ kī naqqāshī khurach kar pheñk aa.e haiñ
jhulastī ret par ham ik samundar pheñk aa.e haiñ

aqīq-o-nīlam-o-la.al-o-javāhar pheñk aa.e haiñ
samundar meñ ajab manzar shanāvar pheñk aa.e haiñ

tirī yādeñ tirī bāteñ sabhī aurāq-e-pārīna
ham ik ik kar ke sab dil-soz manzar pheñk aa.e haiñ

talātum ho ki tūfāñ ho ye dariyā paar karnā hai
ham apnī kashtiyāñ maujoñ ke andar pheñk aa.e haiñ

teri yaadon ki naqqashi khurach kar phenk aae hain
jhulasti ret par hum ek samundar phenk aae hain

aqiq-o-nilam-o-lal-o-jawahar phenk aae hain
samundar mein ajab manzar shanawar phenk aae hain

teri yaaden teri baaten sabhi auraq-e-parina
hum ek ek kar ke sab dil-soz manzar phenk aae hain

talatum ho ki tufan ho ye dariya par karna hai
hum apni kashtiyan maujon ke andar phenk aae hain


Leave a comment

+