Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Ansar

  • Ghazal


lahu ka hunar aazmate rahenge


lahū kā hunar āzmāte raheñge
charāġh āñdhiy.oñ meñ jalāte raheñge

zamāna sitam ham pe Dhātā rahegā
har ik ġham pe ham muskurāte raheñge

samāñ ho ḳhushī kā yā ġham kā ho mausam
ham apnā fasāna sunāte raheñge

raheñge ravāñ merī āñkhoñ se aañsū
sitāre yūñhī jhilmilāte raheñge

na badlegī jab tak fazā gulsitāñ kī
ham apne lahū meñ nahāte raheñge

musallat kahāñ tak raheñge añdhere
mire zaḳhm-e-dil jagmagāte raheñge

mohabbat ke dushman haiñ jitne bhī 'najma'
unheñ aa.ina ham dikhāte raheñge

lahu ka hunar aazmate rahenge
charagh aandhiyon mein jalate rahenge

zamana sitam hum pe Dhata rahega
har ek gham pe hum muskuraate rahenge

saman ho KHushi ka ya gham ka ho mausam
hum apna fasana sunate rahenge

rahenge rawan meri aankhon se aansu
sitare yunhi jhilmilate rahenge

na badlegi jab tak faza gulsitan ki
hum apne lahu mein nahate rahenge

musallat kahan tak rahenge andhere
mere zaKHm-e-dil jagmagate rahenge

mohabbat ke dushman hain jitne bhi 'najma'
unhen aaina hum dikhate rahenge


Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 465) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

Leave a comment

+