maiñ nām-levā huuñ terā tū mo'atabar kar de
hayāt ḳhuub nahīñ hai tū muḳhtasar kar de
hisār-e-zāt ke zindān-e-be-amāñ kī ḳhair
ġhubār-e-rāh kī sūrat hī muntashar kar de
daroġh-e-maslahat-āmez ke ḳharābe meñ
anā-pasand mizājoñ ko dar-ba-dar kar de
ga.e dinoñ ko talāsheñ ki aglī rut meñ khuleñ
tū mausamoñ ko havāoñ se bā-ḳhabar kar de
libās-e-faqr meñ itnī tavañgarī to rahe
dil-e-ġharīb ko vus.at meñ bahr-o-bar kar de
maiñ ek umr se jaagā kiyā huuñ jis ke liye
duā-e-nīm-shabī meñ zarā asar kar de
'vaqār' shaḳhs ki shā.ir na us kī fikr na fan
tamām aib haiñ chāhe to sab hunar kar de
main nam-lewa hun tera tu mo'atabar kar de
hayat KHub nahin hai tu muKHtasar kar de
hisar-e-zat ke zindan-e-be-aman ki KHair
ghubar-e-rah ki surat hi muntashar kar de
darogh-e-maslahat-amez ke KHarabe mein
ana-pasand mizajon ko dar-ba-dar kar de
gae dinon ko talashen ki agli rut mein khulen
tu mausamon ko hawaon se ba-KHabar kar de
libas-e-faqr mein itni tawangari to rahe
dil-e-gharib ko wusat mein bahr-o-bar kar de
main ek umr se jaga kiya hun jis ke liye
dua-e-nim-shabi mein zara asar kar de
'waqar' shaKHs ki shair na us ki fikr na fan
tamam aib hain chahe to sab hunar kar de
Leave a comment