Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chander Wahid

  • Ghazal


meri rahon mein tere naqsh-e-qadam rahne de


merī rāhoñ meñ tire naqsh-e-qadam rahne de
mujh pe lillāh mahz itnā karam rahne de

TuuTe dīpak ko haTā mat tū mire aage se
merī nazroñ ko ujāle kā bharam rahne de

aks apnā koī dekhe hai mire ashkoñ meñ
aur kuchh der mirī āñkhoñ ko nam rahne de

shā.ir-e-vaqt haqīqat meñ vahī hotā hai
apne sheroñ meñ jo dushvāriyāñ kam rahne de

vo na bhūle se bhī dekheñge tujhe ai 'vāhid'
un kī nazroñ se ye umīd-e-karam rahne de

meri rahon mein tere naqsh-e-qadam rahne de
mujh pe lillah mahz itna karam rahne de

TuTe dipak ko haTa mat tu mere aage se
meri nazron ko ujale ka bharam rahne de

aks apna koi dekhe hai mere ashkon mein
aur kuchh der meri aankhon ko nam rahne de

shair-e-waqt haqiqat mein wahi hota hai
apne sheron mein jo dushwariyan kam rahne de

wo na bhule se bhi dekhenge tujhe ai 'wahid'
un ki nazron se ye umid-e-karam rahne de


Leave a comment

+