Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidurrahman Niyazi

  • Ghazal


ye KHalq jab talab-e-jah mein paDi hui thi


ye ḳhalq jab talab-e-jāh meñ paḌī huī thī
to merī zaat tirī chaah meñ paḌī huī thī

tū apnī be-ḳhabarī meñ jahāñ se guzrā thā
ye merī umr vahīñ raah meñ paḌī huī thī

kahīñ bhī duur tak us kā koī nishān na thā
vo sirf merī talab-gāh meñ paḌī huī thī

maiñ lafz DhūñDhtā rahtā thā jis ke kahne ko
vo saarī baat mirī aah meñ paḌī huī thī

maiñ ḳhud ko lag rahā thā chaudhvīñ kī shab jaisā
ki merī jaan bhī ik maah meñ paḌī huī thī

ye KHalq jab talab-e-jah mein paDi hui thi
to meri zat teri chah mein paDi hui thi

tu apni be-KHabari mein jahan se guzra tha
ye meri umr wahin rah mein paDi hui thi

kahin bhi dur tak us ka koi nishan na tha
wo sirf meri talab-gah mein paDi hui thi

main lafz DhunDhta rahta tha jis ke kahne ko
wo sari baat meri aah mein paDi hui thi

main KHud ko lag raha tha chaudhwin ki shab jaisa
ki meri jaan bhi ek mah mein paDi hui thi


Leave a comment

+