Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dil Ayubi

  • Ghazal


kya bataun ki ab KHuda kya hai


kyā batā.ūñ ki ab ḳhudā kyā hai
aa.ine meñ ye dūsrā kyā hai

sar se pā tak mirī nigāh meñ ho
muñh chhupāne se fā.eda kyā hai

muskurātā hai jaan le kar bhī
ab ḳhudā jaane chāhtā kyā hai

da.av-e-ishq ham to kar baiThe
tū sunā terā faisla kyā hai

hai bahut kuchh abhī to parde meñ
dekhtā jā abhī huā kyā hai

ilm bhī ik hijāb hai nādāñ
jāntā hai to jāntā kyā hai

vo ḳhudā ho ki nāḳhudā ai 'dil'
Dūbnā hai to sochtā kyā hai

kya bataun ki ab KHuda kya hai
aaine mein ye dusra kya hai

sar se pa tak meri nigah mein ho
munh chhupane se faeda kya hai

muskuraata hai jaan le kar bhi
ab KHuda jaane chahta kya hai

daw-e-ishq hum to kar baiThe
tu suna tera faisla kya hai

hai bahut kuchh abhi to parde mein
dekhta ja abhi hua kya hai

ilm bhi ek hijab hai nadan
jaanta hai to jaanta kya hai

wo KHuda ho ki naKHuda ai 'dil'
Dubna hai to sochta kya hai


Leave a comment

+