Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gauhar Seema

  • Ghazal


wahshaton ka aaj phir charcha raha


vahshatoñ kā aaj phir charchā rahā
aaj phir ye dil mirā Thahrā rahā

vādiyoñ meñ zindagī martī rahī
dard āñkhoñ se mire bahtā rahā

pattharoñ ke vaar vo sahte ga.e
ā.inoñ ke saath ye qissa rahā

mas.ale sham.a bujhā kar thak ga.e
shauq kā sūraj magar jaltā rahā

zindagī apnā safar kartī ga.ī
rū-ba-rū āñkhoñ ke ik chehra rahā

muntashir the dhaḌkanoñ ke saaz bhī
dil musalsal raat bhar tanhā rahā

zaḳhm de kar thak ga.ī ye zindagī
ḳhvāb āñkhoñ meñ magar Thahrā rahā

wahshaton ka aaj phir charcha raha
aaj phir ye dil mera Thahra raha

wadiyon mein zindagi marti rahi
dard aankhon se mere bahta raha

pattharon ke war wo sahte gae
aainon ke sath ye qissa raha

masale shama bujha kar thak gae
shauq ka suraj magar jalta raha

zindagi apna safar karti gai
ru-ba-ru aankhon ke ek chehra raha

muntashir the dhaDkanon ke saz bhi
dil musalsal raat bhar tanha raha

zaKHm de kar thak gai ye zindagi
KHwab aankhon mein magar Thahra raha


Leave a comment

+