Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dipak Prajapati Khaalis

  • Ghazal


uski taswir ko sine se lagata hi nahin


us kī tasvīr ko siine se lagātā hī nahīñ
haañ maiñ vo shaḳhs huuñ jo ishq jatātā hī nahīñ

us ko kab se hai tavaqqo.a kī bulā.ūñgā maiñ
maiñ hī masrūf huuñ itnā kī bulātā hī nahīñ

ek sach ye hai ki us ne hī kiyā hai barbād
ek ye bhī hai ki vo zehn se jaatā hī nahīñ

mere kamre kī to aadat hai bikhar jaane kī
maiñ yahī soch ke kamre ko sajātā hī nahīñ

ḳhauf lagtā hai mujhe raushnī meñ jaane se
shaam ke vaqt bhī maiñ sham.a jalātā hī nahīñ

hijr ke baad se us ne na rachā.ī mehñdī
maiñ bhī ab jhaT se koī phone uThātā hī nahīñ

us ki taswir ko sine se lagata hi nahin
han main wo shaKHs hun jo ishq jatata hi nahin

us ko kab se hai tawaqqoa ki bulaunga main
main hi masruf hun itna ki bulata hi nahin

ek sach ye hai ki us ne hi kiya hai barbaad
ek ye bhi hai ki wo zehn se jata hi nahin

mere kamre ki to aadat hai bikhar jaane ki
main yahi soch ke kamre ko sajata hi nahin

KHauf lagta hai mujhe raushni mein jaane se
sham ke waqt bhi main shama jalata hi nahin

hijr ke baad se us ne na rachai mehndi
main bhi ab jhaT se koi phone uThata hi nahin


Leave a comment

+