Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Naseem

  • Ghazal


tera hai kaam kaman mein use lagane tak


tirā hai kaam kamāñ meñ use lagāne tak
ye tiir ḳhud hī chalā jā.egā nishāne tak

maiñ shīsha kyuuñ na banā aadmī huā kyūñkar
mujhe to umr lagī TuuT phuuT jaane tak

ga.e huoñ ne palaT kar sadā na dī mujh ko
maiñ kitnī baar gayā ġhaar ke dahāne tak

tujhe to apne paroñ par hī e'tibār nahīñ
tū kaise aa.egā uḌ kar mire zamāne tak

kiyā thā faisla buniyād-e-āshiyāñ kā 'nasīm'
havā.eñ tinke uḌā lā.īñ āshiyāne tak

tera hai kaam kaman mein use lagane tak
ye tir KHud hi chala jaega nishane tak

main shisha kyun na bana aadmi hua kyunkar
mujhe to umr lagi TuT phuT jaane tak

gae huon ne palaT kar sada na di mujh ko
main kitni bar gaya ghaar ke dahane tak

tujhe to apne paron par hi e'tibar nahin
tu kaise aaega uD kar mere zamane tak

kiya tha faisla buniyaad-e-ashiyan ka 'nasim'
hawaen tinke uDa lain aashiyane tak

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 tera hai kaam kaman mein use lagane tak Nomaan Shauque

Leave a comment

+