Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faizul Amin Faiz

  • Ghazal


mali ko sazishon pe yun uksa diya gaya


maalī ko sāzishoñ pe yuuñ uksā diyā gayā
kaliyāñ baneñ na phuul ye samjhā diyā gayā

sach bolne kī jis ne jasārat kī dosto
phāñsī pe ek din use laTkā diyā gayā

manzil mire nasīb meñ likh dī ga.ī magar
pur-pech rāsta mujhe dikhlā diyā gayā

ḳhud ko samajh rahe haiñ vahī log hoshiyār
jin ko ḳhirad kī raah se bhaTkā diyā gayā

phir mai-kade meñ TuuT ga.ī tauba shaiḳh kī
jab muft meñ sharāb kā pyālā diyā gayā

baapū ne jo diyā thā sabaq yaad hai hameñ
phir zahr kyoñ samāj meñ phailā diyā gayā

mahñgā.ī 'faiz' chhūne lagī hai ab āsmān
dillī ke taḳht par kise baiThā diyā gayā

mali ko sazishon pe yun uksa diya gaya
kaliyan banen na phul ye samjha diya gaya

sach bolne ki jis ne jasarat ki dosto
phansi pe ek din use laTka diya gaya

manzil mere nasib mein likh di gai magar
pur-pech rasta mujhe dikhla diya gaya

KHud ko samajh rahe hain wahi log hoshiyar
jin ko KHirad ki rah se bhaTka diya gaya

phir mai-kade mein TuT gai tauba shaiKH ki
jab muft mein sharab ka pyala diya gaya

bapu ne jo diya tha sabaq yaad hai hamein
phir zahr kyon samaj mein phaila diya gaya

mahngai 'faiz' chhune lagi hai ab aasman
dilli ke taKHt par kise baiTha diya gaya


Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+