Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Devesh Dixit

  • Ghazal


hadse umr-bhar aazmate rahe


hādse umr-bhar āzmāte rahe
choT khā khā ke ham muskurāte rahe

yuuñ guzartā rahā zindagī kā safar
bin tumhāre qadam Dagmagāte rahe

āñdhiy.oñ se adāvat rahī umr-bhar
ham havāoñ meñ dīpak jalāte rahe

hajj-o-tīrath ko jaane se kyā fā.eda
gar buzurgoñ kā dil ham dukhāte rahe

baañT degī siyāsat hameñ do taraf
ham jo mandir aur masjid banāte rahe

'dev' piine kā jis ko salīqa na thā
mai-kade un kī qismat meñ aate rahe

hadse umr-bhar aazmate rahe
choT kha kha ke hum muskuraate rahe

yun guzarta raha zindagi ka safar
bin tumhaare qadam Dagmagate rahe

aandhiyon se adawat rahi umr-bhar
hum hawaon mein dipak jalate rahe

hajj-o-tirath ko jaane se kya faeda
gar buzurgon ka dil hum dukhate rahe

banT degi siyasat hamein do taraf
hum jo mandir aur masjid banate rahe

'dew' pine ka jis ko saliqa na tha
mai-kade un ki qismat mein aate rahe


Leave a comment

+