Subscribe to our newsletter and get our newest updates

D. Raj Kanwal

  • Ghazal


log jinko aaj tak bar-e-garan samjha kiye


log jin ko aaj tak bār-e-garāñ samjhā kiye
ham unhīñ lamhoñ ko umr-e-jāvedāñ samjhā kiye

maut ko ham zindagī kī tarjumāñ samjhā kiye
qatra-e-dariyā ko bahr-e-be-karāñ samjhā kiye

go haqīqat hī haqīqat thī sarāpā ham magar
zindagī ko dāstāñ hī dāstāñ samjhā kiye

hasrat-e-sair-e-gulistāñ ḳhvāb ban kar rah ga.ī
vo qafas niklā jise ham āshiyāñ samjhā kiye

haañ vahī ik shaḳhs niklā be-muravvat bevafā
ham jise jān-e-tamannā jān-e-jāñ samjhā kiye

ho ga.e ik baar phir ham ḳhud-farebī ke shikār
vo zamīñ niklī jise ham āsmāñ samjhā kiye

haa.e vo niklīñ munazzam rahzanoñ kī Toliyāñ
aaj tak jin ko 'kañval' ham kārvāñ samjhā kiye

log jin ko aaj tak bar-e-garan samjha kiye
hum unhin lamhon ko umr-e-jawedan samjha kiye

maut ko hum zindagi ki tarjuman samjha kiye
qatra-e-dariya ko bahr-e-be-karan samjha kiye

go haqiqat hi haqiqat thi sarapa hum magar
zindagi ko dastan hi dastan samjha kiye

hasrat-e-sair-e-gulistan KHwab ban kar rah gai
wo qafas nikla jise hum aashiyan samjha kiye

han wahi ek shaKHs nikla be-murawwat bewafa
hum jise jaan-e-tamanna jaan-e-jaan samjha kiye

ho gae ek bar phir hum KHud-farebi ke shikar
wo zamin nikli jise hum aasman samjha kiye

hae wo niklin munazzam rahzanon ki Toliyan
aaj tak jin ko 'kanwal' hum karwan samjha kiye


Source: Book : Sher-e-Aasman (Pg. 31) Author : Maktaba aariz Publication : Maktaba aariz

Leave a comment

+