Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chandni Pandey

  • Ghazal


ye mohabbat jo mohabbat se kamai hui hai


ye mohabbat jo mohabbat se kamā.ī huī hai
aag siine meñ usī ne to lagā.ī huī hai

ik vahī phuul mayassar na huā dāman ko
jis kī ḳhushbū merī rag rag meñ samā.ī huī hai

jab bhī āñkhoñ ne sajā.e hai tumhāre sapne
zehn aur dil meñ bahut der laḌā.ī huī hai

dil kī chaukhaT pe jalā rakkhe hai āñkhoñ ne charāġh
kis kī aamad kī abhī aas lagā.ī huī hai

us kī yaado se munavvar hai mire dil kā jahāñ
āñso.oñ se merī āñkhoñ kī safā.ī huī hai

ai mohabbat tere chehre pe udāsī kyuuñ hai
jaise ek tū hī zamāne kī satā.ī huī hai

jis kī kirnoñ se jhulas jaate haiñ raushan chehre
chāñdnī bhī usī sūraj kī banā.ī huī hai

ye mohabbat jo mohabbat se kamai hui hai
aag sine mein usi ne to lagai hui hai

ek wahi phul mayassar na hua daman ko
jis ki KHushbu meri rag rag mein samai hui hai

jab bhi aankhon ne sajae hai tumhaare sapne
zehn aur dil mein bahut der laDai hui hai

dil ki chaukhaT pe jala rakkhe hai aankhon ne charagh
kis ki aamad ki abhi aas lagai hui hai

us ki yaado se munawwar hai mere dil ka jahan
aansoon se meri aankhon ki safai hui hai

ai mohabbat tere chehre pe udasi kyun hai
jaise ek tu hi zamane ki satai hui hai

jis ki kirnon se jhulas jate hain raushan chehre
chandni bhi usi suraj ki banai hui hai


Leave a comment

+