Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naji Shakir

  • Ghazal


lab-e-shirin hai misri yusuf-e-sani hai ye laDka


lab-e-shīrīñ hai misrī yūsuf-e-sānī hai ye laḌkā
na chhoḌegā merā dil chāh-e-kan.ānī hai ye laḌkā

liyā bosa kisī ne aur garebāñ-gīr hai merā
Dubāyā chāhtā hai sab ko tūfānī hai ye laḌkā

sar uupar laal chīrā aur dahan juuñ ġhuncha-e-rañgīñ
bahār-e-mudda.ā lāl-e-badḳhshānī hai ye laḌkā

qayāmat hai jhamak baazū ke tāvīz-e-talā.ī kī
hisār-e-husn kuuñ qaa.im kiyā baanī hai ye laḌkā

hue rū-posh us kā husn dekh anjum ke juuñ ḳhūbāñ
chamaktā hai ba-rañg-mehr nūrānī hai ye laḌkā

qayāmat qāmat us kā jin ne dekhā so huā bismil
magar sar tā qadam teġh-e-sulemānī hai ye laḌkā

maiñ apnā jaan o dil qurbāñ karūñ uus par setī 'nājī'
jise dekheñ siiñ hue iid ramzānī hai ye laḌkā

lab-e-shirin hai misri yusuf-e-sani hai ye laDka
na chhoDega mera dil chah-e-kanani hai ye laDka

liya bosa kisi ne aur gareban-gir hai mera
Dubaya chahta hai sab ko tufani hai ye laDka

sar upar lal chira aur dahan jun ghuncha-e-rangin
bahaar-e-muddaa lal-e-badKHshani hai ye laDka

qayamat hai jhamak bazu ke tawiz-e-talai ki
hisar-e-husn kun qaim kiya bani hai ye laDka

hue ru-posh us ka husn dekh anjum ke jun KHuban
chamakta hai ba-rang-mehr nurani hai ye laDka

qayamat qamat us ka jin ne dekha so hua bismil
magar sar ta qadam tegh-e-sulemani hai ye laDka

main apna jaan o dil qurban karun us par seti 'naji'
jise dekhen sin hue id ramzani hai ye laDka

RECITATIONS Fasih Akmal



00:00/00:00 lab-e-shirin hai misri yusuf-e-sani hai ye laDka Fasih Akmal

Leave a comment

+