zikr-e-māzī se shab-o-roz satāte haiñ mujhe
mere ahbāb hī dīvāna banāte haiñ mujhe
maiñ to ik jumla-e-bā-ma.anī-o-bā-matlab huuñ
aur vo harf-e-ġhalat kah ke miTāte haiñ mujhe
ek be-rabt ta.alluq kā sahārā le kar
log kyā ishq ke andāz sikhāte haiñ mujhe
jo the apne hī ḳhad-o-ḳhāl se ġhāfil kal tak
aaj vo log bhī ā.īna dikhāte haiñ mujhe
kuchh tabī.at hī baġhāvat kī taraf maa.il hai
varna maiḳhāne ke ādāb to aate haiñ mujhe
kuchh ta.alluq koī nisbat nahīñ lekin phir bhī
ai 'naresh' aaj sunā hai ki banāte haiñ mujhe
zikr-e-mazi se shab-o-roz satate hain mujhe
mere ahbab hi diwana banate hain mujhe
main to ek jumla-e-ba-mani-o-ba-matlab hun
aur wo harf-e-ghalat kah ke miTate hain mujhe
ek be-rabt talluq ka sahaara le kar
log kya ishq ke andaz sikhate hain mujhe
jo the apne hi KHad-o-KHal se ghafil kal tak
aaj wo log bhi aaina dikhate hain mujhe
kuchh tabiat hi baghawat ki taraf mail hai
warna maiKHane ke aadab to aate hain mujhe
kuchh talluq koi nisbat nahin lekin phir bhi
ai 'naresh' aaj suna hai ki banate hain mujhe
Leave a comment