Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dattatriya Kaifi

  • Ghazal


pani siyane dete hain kya phunk phunk kar


paanī siyāne dete haiñ kyā phūñk phūñk kar
dil soz-e-ġham ne ḳhaak kiyā phūñk phūñk kar

chhiḌkāv āb-e-teġh kā hai kū-e-yār meñ
paañv is zamīñ pe rakhiye zarā phūñk phūñk kar

dekhā na āñkh-bhar ke nazar ke ḳhayāl se
lete haiñ ham to naam tirā phūñk phūñk kar

hogā na saaf jhūTī havā-ḳhvāhiyoñ se dil
yuuñ dil kā kab ġhubār uḌā phūñk phūñk kar

bād-e-nafas se dāġh-e-dil-e-sard jal uThe
ham ne jilā diyā hai diyā phūñk phūñk kar

ulTā hai kyā is āh-e-sharar-bār kā asar
dil hī bujhā diyā hai mirā phūñk phūñk kar

piirī meñ aa.egī na kabhī tāqat-e-shabāb
ai piir laakh paare ko khā phūñk phūñk kar

shaitāñ kā dhokā zāhid-e-pur-fan pe kyuuñ na ho
piitā hai chhāchh dūdh-jalā phūñk phūñk kar

ātish-bayānī-e-lab-e-'kaifī' ne bazm meñ
dushman ke dil ko ḳhaak kiyā phūñk phūñk kar

pani siyane dete hain kya phunk phunk kar
dil soz-e-gham ne KHak kiya phunk phunk kar

chhiDkaw aab-e-tegh ka hai ku-e-yar mein
panw is zamin pe rakhiye zara phunk phunk kar

dekha na aankh-bhar ke nazar ke KHayal se
lete hain hum to nam tera phunk phunk kar

hoga na saf jhuTi hawa-KHwahiyon se dil
yun dil ka kab ghubar uDa phunk phunk kar

baad-e-nafas se dagh-e-dil-e-sard jal uThe
hum ne jila diya hai diya phunk phunk kar

ulTa hai kya is aah-e-sharar-bar ka asar
dil hi bujha diya hai mera phunk phunk kar

piri mein aaegi na kabhi taqat-e-shabab
ai pir lakh pare ko kha phunk phunk kar

shaitan ka dhoka zahid-e-pur-fan pe kyun na ho
pita hai chhachh dudh-jala phunk phunk kar

aatish-bayani-e-lab-e-'kaifi' ne bazm mein
dushman ke dil ko KHak kiya phunk phunk kar


Leave a comment

+