Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jaleel Qidwai

  • Ghazal


zoron pe bahut ab meri aashufta-sari hai


zoroñ pe bahut ab mirī āshufta-sarī hai
ye haal hai ḳhud se bhī mujhe be-ḳhabarī hai

jab se nahīñ āġhosh meñ vo jān-e-tamannā
ik sil hai ki har vaqt kaleje pe dharī hai

un kī jo mayassar nahīñ shādāb-nigāhī
phūloñ meñ koī rañg na sabze meñ tarī hai

maanā ki mohabbat ke haiñ dushvār taqāze
be-yār ke jiinā bhī to ik dard-sarī hai

lapkā hai ye ik umr kā jā.egā na hargiz
is gul se tabī.at na bharegī na bharī hai

ik un kī haqīqat to mire dil ko hai taslīm
baaqī hai jo kaunain meñ vo sab nazarī hai

āñkhoñ meñ samātā nahīñ ab aur jo koī
kyā jaane basīrat hai ki ye be-basarī hai

jāgoge shab-e-ġham meñ 'jalīl' aur kahāñ tak
sote nahīñ kyūñ? niiñd to āñkhoñ meñ bharī hai

zoron pe bahut ab meri aashufta-sari hai
ye haal hai KHud se bhi mujhe be-KHabari hai

jab se nahin aaghosh mein wo jaan-e-tamanna
ek sil hai ki har waqt kaleje pe dhari hai

un ki jo mayassar nahin shadab-nigahi
phulon mein koi rang na sabze mein tari hai

mana ki mohabbat ke hain dushwar taqaze
be-yar ke jina bhi to ek dard-sari hai

lapka hai ye ek umr ka jaega na hargiz
is gul se tabiat na bharegi na bhari hai

ek un ki haqiqat to mere dil ko hai taslim
baqi hai jo kaunain mein wo sab nazari hai

aankhon mein samata nahin ab aur jo koi
kya jaane basirat hai ki ye be-basari hai

jagoge shab-e-gham mein 'jalil' aur kahan tak
sote nahin kyun? nind to aankhon mein bhari hai


Source: Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 173) Author : Firasat Rizvi Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan Lahore (2007) Edition : 2007

Leave a comment

+