Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahshar Badayuni

  • Ghazal


ye mein hun aur ye asnam mere


ye meñ huuñ aur ye asnām mere
inheñ jo naam do sab naam mere

hai in kī raushnī mujh se bhī aage
maiñ achchhā mujh se achchhe kaam mere

na kar tū baat mujh se mausamoñ kī
ye mausam sub.h tere shaam mere

dukān-e-ḳhvāb meñ chehra-e-nigar huuñ
koī shāyad chukā de daam mere

tamannāoñ ke zaḳhm īzāoñ ke zaḳhm
yahī kuchh zaḳhm haiñ in.aam mere

maiñ kyā virse meñ duuñ ā.indagāñ ko
bas un ke naam haiñ paiġhām mere

ye mein hun aur ye asnam mere
inhen jo nam do sab nam mere

hai in ki raushni mujh se bhi aage
main achchha mujh se achchhe kaam mere

na kar tu baat mujh se mausamon ki
ye mausam subh tere sham mere

dukan-e-KHwab mein chehra-e-nigar hun
koi shayad chuka de dam mere

tamannaon ke zaKHm izaon ke zaKHm
yahi kuchh zaKHm hain inam mere

main kya wirse mein dun aaindagan ko
bas un ke nam hain paigham mere


Source: Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 239) Author : Firasat Rizvi Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan Lahore (2007) Edition : 2007

Leave a comment

+