Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Azeem

  • Ghazal


kaT gain jab josh-e-izhaar-e-hunar mein ungliyan


kaT ga.iiñ jab josh-e-iz.hār-e-hunar meñ uñgliyāñ
tab kahīñ Dūbīñ mire ḳhūn-e-jigar meñ uñgliyāñ

dekhiye anjām kyā ho ab vafā kī raah par
ham pe to uTThī haiñ āġhāz-e-safar meñ uñgliyāñ

āḳhir-e-shab meñ diyā ḳhud ko banāyā thā kabhī
aaj bhī jaltī haiñ ummīd-e-sahar meñ uñgliyāñ

likh rahī haiñ reg-e-sāhil par anokhī ḳhvāhisheñ
aa ga.ī haiñ terī bātoñ ke asar meñ uñgliyāñ

raushnī likkhī hai maiñ ne go mujhe mālūm thā
kaaT dī jaatī haiñ is andhe nagar meñ uñgliyāñ

laash ke hāthoñ pe haiñ kaise nishāñ zanjīr ke
kis kī jānib uTh rahī haiñ is ḳhabar meñ uñgliyāñ

kaT gain jab josh-e-izhaar-e-hunar mein ungliyan
tab kahin Dubin mere KHun-e-jigar mein ungliyan

dekhiye anjam kya ho ab wafa ki rah par
hum pe to uTThi hain aaghaz-e-safar mein ungliyan

aaKHir-e-shab mein diya KHud ko banaya tha kabhi
aaj bhi jalti hain ummid-e-sahar mein ungliyan

likh rahi hain reg-e-sahil par anokhi KHwahishen
aa gai hain teri baaton ke asar mein ungliyan

raushni likkhi hai main ne go mujhe malum tha
kaT di jati hain is andhe nagar mein ungliyan

lash ke hathon pe hain kaise nishan zanjir ke
kis ki jaanib uTh rahi hain is KHabar mein ungliyan


Source: Book : Fanoos (Pg. 46)

Leave a comment

+