Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fareed Javed

  • Ghazal


kis se wafa ki hai umid kaun wafa-shiar hai


kis se vafā kī hai umiid kaun vafā-shi.ār hai
ai mire be-qarār dil kis liye be-qarār hai

sun to rahe haiñ der se shor bahut bahār kā
jaane kahāñ khile haiñ phuul jaane kahāñ bahār hai

kyuuñ na tire ḳhayāl meñ zamzama-ḳhvāñ guzar chaleñ
yuuñ bhī hamārī raah meñ gardish-e-rozgār hai

raat se ham nahīñ udaas raat udaas hī sahī
raat to sub.h ke liye vaqfa-e-intizār hai

ab bhī mazāq-e-dard se merī shaboñ meñ hai gudāz
mere laboñ pe aaj bhī naġhma-e-husn-e-yār hai

kis se wafa ki hai umid kaun wafa-shiar hai
ai mere be-qarar dil kis liye be-qarar hai

sun to rahe hain der se shor bahut bahaar ka
jaane kahan khile hain phul jaane kahan bahaar hai

kyun na tere KHayal mein zamzama-KHwan guzar chalen
yun bhi hamari rah mein gardish-e-rozgar hai

raat se hum nahin udas raat udas hi sahi
raat to subh ke liye waqfa-e-intizar hai

ab bhi mazaq-e-dard se meri shabon mein hai gudaz
mere labon pe aaj bhi naghma-e-husn-e-yar hai


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+