Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanweer Gauhar

  • Ghazal


ishq kya shai hai dost kya kahiye


ishq kyā shai hai dost kyā kahiye
ḳhūb-sūrat sī ik ḳhatā kahiye

sab ke apne muāmle haiñ janāb
kis ko achchhā kise burā kahiye

nuur us kā zuhūr us kā hai
dekhiye aur marhabā kahiye

saarī duniyā lagā chukī tohmat
aap bhī mujh ko bevafā kahiye

har maraz kā ilaaj mumkin hai
dard-e-dil kī hai kyā davā kahiye

naam jab likh dī zindagī mere
kis liye phir hai fāslā kahiye

jis ne luuTā hai chain 'gauhar' kā
naam kyā luuñ bas āshnā kahiye

ishq kya shai hai dost kya kahiye
KHub-surat si ek KHata kahiye

sab ke apne muamle hain janab
kis ko achchha kise bura kahiye

nur us ka zuhur us ka hai
dekhiye aur marhaba kahiye

sari duniya laga chuki tohmat
aap bhi mujh ko bewafa kahiye

har maraz ka ilaj mumkin hai
dard-e-dil ki hai kya dawa kahiye

nam jab likh di zindagi mere
kis liye phir hai fasla kahiye

jis ne luTa hai chain 'gauhar' ka
nam kya lun bas aashna kahiye


Source: Book : Shora-e-London (Pg. 75) Author : Johar Zahiri Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985) Edition : 1985

Leave a comment

+