bastī bastī ḳhat-e-gum-gashta sā āvāra huuñ
kal kahāñ koī mujhe rok le maiñ kyā jānūñ
baal baḌh jaa.eñ ki inkār kī tāqat to mile
chāhe phir apnī hī āñkhoñ kī tarah bujh jā.ūñ
vo ḳhalā hai to ḳhalā bhī hai hadoñ kā qaidī
maiñ huuñ āzād to āzādī kā zindānī huuñ
zindagī mujh ko ye zanjīr-e-havā de ke udaas
maiñ pareshān ki maiñ saañs liye jaatā huuñ
suud hone kā adā karnā hī hai qistoñ meñ
dosto talḳh sī ik baat kaho TuuT girūñ
karb sā karb hai be-daur-o-zamāna honā
us kā ik pal huuñ to kaash ab use yaad aa jā.ūñ
qarz-ḳhvāhoñ kī tarah vaqt! garebāñ mat thaam
qahqaha ik kahīñ rakkhā thā diye detā huuñ
basti basti KHat-e-gum-gashta sa aawara hun
kal kahan koi mujhe rok le main kya jaanun
baal baDh jaen ki inkar ki taqat to mile
chahe phir apni hi aankhon ki tarah bujh jaun
wo KHala hai to KHala bhi hai hadon ka qaidi
main hun aazad to aazadi ka zindani hun
zindagi mujh ko ye zanjir-e-hawa de ke udas
main pareshan ki main sans liye jata hun
sud hone ka ada karna hi hai qiston mein
dosto talKH si ek baat kaho TuT girun
karb sa karb hai be-daur-o-zamana hona
us ka ek pal hun to kash ab use yaad aa jaun
qarz-KHwahon ki tarah waqt! gareban mat tham
qahqaha ek kahin rakkha tha diye deta hun
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment