Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nabeel Ahmad Nabeel

  • Ghazal


sau uljhanon ke beach guzara gaya mujhe


sau uljhanoñ ke beach guzārā gayā mujhe
jab bhī tirī talab meñ sañvārā gayā mujhe

kam ho sakā na phir bhī mirā martaba agar
pastī meñ āsmāñ se utārā gayā mujhe

suljhī na ek baar kahīñ zulf-e-zindagī
garche hazār baar sañvārā gayā mujhe

apne mafād ke liye maidān-e-jañg meñ
jiitā gayā kabhī kabhī haarā gayā mujhe

dhoyā gayā badan mirā ashkoñ ke aab se
mere lahū ke saath nikhārā gayā mujhe

phir bhī ravāñ-davāñ huuñ maiñ mauj-e-hayāt meñ
sau baar garche dahr meñ maarā gayā mujhe

rakh kar chalūñgā jaan hathelī pe maiñ 'nabīl'
maqtal se jis ghaḌī bhī pukārā gayā mujhe

sau uljhanon ke beach guzara gaya mujhe
jab bhi teri talab mein sanwara gaya mujhe

kam ho saka na phir bhi mera martaba agar
pasti mein aasman se utara gaya mujhe

suljhi na ek bar kahin zulf-e-zindagi
garche hazar bar sanwara gaya mujhe

apne mafad ke liye maidan-e-jang mein
jita gaya kabhi kabhi haara gaya mujhe

dhoya gaya badan mera ashkon ke aab se
mere lahu ke sath nikhaara gaya mujhe

phir bhi rawan-dawan hun main mauj-e-hayat mein
sau bar garche dahr mein mara gaya mujhe

rakh kar chalunga jaan hatheli pe main 'nabil'
maqtal se jis ghaDi bhi pukara gaya mujhe


Leave a comment

+