Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaheer Kashmiri

  • Ghazal


hijr o visal ki sardi garmi sahta hai


hijr o visāl kī sardī garmī sahtā hai
dil darvesh hai phir bhī raazī rahtā hai

phuul se itnā rabt baḌhānā Thiik nahīñ
qatra-e-shabnam uḌte uḌte kahtā hai

is kuTiyā ko Dhāne vaale ġhaur se sun
is kuTiyā meñ terā dhyān bhī rahtā hai

har aañsū meñ ātish kī āmezish hai
dil meñ shāyad aag kā dariyā bahtā hai

mujh se bichhaḌ kar pahroñ royā kartā thā
vo jo mere haal pe hañstā rahtā hai

dil ko shāyad fasl-e-bahārāñ raas nahīñ
baaġh meñ rah kar ḳhushbū ke dukh sahtā hai

maiñ ne us ko apnā masīhā maan liyā
saarā zamāna jis ko qātil kahtā hai

taarā taarā hijr ke qissa phaile haiñ
aañsū aañsū dil kā sāgar bahtā hai

un hoñToñ se yuuñ ristī hai baat 'zahīr'
jaise ik naġhmoñ kā jharnā bahtā hai

hijr o visal ki sardi garmi sahta hai
dil darwesh hai phir bhi raazi rahta hai

phul se itna rabt baDhana Thik nahin
qatra-e-shabnam uDte uDte kahta hai

is kuTiya ko Dhane wale ghaur se sun
is kuTiya mein tera dhyan bhi rahta hai

har aansu mein aatish ki aamezish hai
dil mein shayad aag ka dariya bahta hai

mujh se bichhaD kar pahron roya karta tha
wo jo mere haal pe hansta rahta hai

dil ko shayad fasl-e-bahaaran ras nahin
bagh mein rah kar KHushbu ke dukh sahta hai

main ne us ko apna masiha man liya
sara zamana jis ko qatil kahta hai

tara tara hijr ke qissa phaile hain
aansu aansu dil ka sagar bahta hai

un honTon se yun risti hai baat 'zahir'
jaise ek naghmon ka jharna bahta hai


Leave a comment

+