Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lala Kanji Mal Saba

  • Ghazal


sahar jab bistar-e-rahat se wo rashk-e-qamar uTTha


sahar jab bistar-e-rāhat se vo rashk-e-qamar uTThā
ġhulāmī us kī meñ ḳhurshīd le teġh-o-sipar uTThā

abhī taskīñ huī thī ik zarā fariyād-o-zārī se
lagā dil muztarib hone ki phir dard-e-jigar uTThā

gale par mere ḳhanjar phertā vo aur bhī lekin
huī mujh se ḳhatā itnī ki maiñ fariyād kar uTThā

nahīñ ma.alūm ai yaaro 'sabā' ke dil meñ kyā aayā
abhī jo baiThe baiThe vo yakāyak aah kar uTThā

sahar jab bistar-e-rahat se wo rashk-e-qamar uTTha
ghulami us ki mein KHurshid le tegh-o-sipar uTTha

abhi taskin hui thi ek zara fariyaad-o-zari se
laga dil muztarib hone ki phir dard-e-jigar uTTha

gale par mere KHanjar pherta wo aur bhi lekin
hui mujh se KHata itni ki main fariyaad kar uTTha

nahin malum ai yaro 'saba' ke dil mein kya aaya
abhi jo baiThe baiThe wo yakayak aah kar uTTha


Leave a comment

+