apne ash.ār ko rusvā sar-e-bāzār karūñ
kaise mumkin hai ki maiñ mid.hat-e-darbār karūñ
dil meñ maqtūl kī tasvīr liye phirtā huuñ
aur qātil se aqīdat kā bhī iz.hār karūñ
yahī manshūr-e-mohabbat hai ki vo paikar-e-zulm
jis ko nafrat se navāze maiñ use pyaar karūñ
ab mire shahr kī pahchān hai ik vāda-shikan
shahriyat badlūñ ki tārīḳh kā inkār karūñ
raat bhar jaag ke tāmīr karūñ qasr-e-umīd
sub.h-e-takmīl se pahle use mismār karūñ
apne ashaar ko ruswa sar-e-bazar karun
kaise mumkin hai ki main midhat-e-darbar karun
dil mein maqtul ki taswir liye phirta hun
aur qatil se aqidat ka bhi izhaar karun
yahi manshur-e-mohabbat hai ki wo paikar-e-zulm
jis ko nafrat se nawaze main use pyar karun
ab mere shahr ki pahchan hai ek wada-shikan
shahriyat badlun ki tariKH ka inkar karun
raat bhar jag ke tamir karun qasr-e-umid
subh-e-takmil se pahle use mismar karun
Source: Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 39) Publication : Raghu Nath suhai ummid
Leave a comment