Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najeeb Ahmad

  • Ghazal


ki KHud insan Dhalta ja raha hai


ki ḳhud insān Dhaltā jā rahā hai

khalanDarā sā koī bachcha hai dariyā
samundar tak uchhaltā jā rahā hai

na kuchh kahtā na kuchh suntā hai koī
faqat pahlū badaltā jā rahā hai

idhar miltī nahīñ sāñsoñ se sāñseñ
zamāna hai ki chaltā jā rahā hai

nahīñ us ko khilaunoñ kī zarūrat
vo ab ḳhud hī bahaltā jā rahā hai

makānoñ meñ na.e rauzan banā lo
havā kā ruḳh badaltā jā rahā hai

'najīb' ab to sharār-e-be-hisī se
tirā chehra pighaltā jā rahā hai

ki KHud insan Dhalta ja raha hai

khalanDara sa koi bachcha hai dariya
samundar tak uchhalta ja raha hai

na kuchh kahta na kuchh sunta hai koi
faqat pahlu badalta ja raha hai

idhar milti nahin sanson se sansen
zamana hai ki chalta ja raha hai

nahin us ko khilaunon ki zarurat
wo ab KHud hi bahalta ja raha hai

makanon mein nae rauzan bana lo
hawa ka ruKH badalta ja raha hai

'najib' ab to sharar-e-be-hisi se
tera chehra pighalta ja raha hai


Source: Book : Urdu Adab (Pg. 66) Author : Iqbal Hussain Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996) Edition : Jan, Feb. Mar 1996

Leave a comment

+