Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakhtiyar Ziya

  • Ghazal


chaliye kahin sahra hi mein ab KHak uDaen


chaliye kahīñ sahrā hī meñ ab ḳhaak uḌā.eñ
bastī meñ to sab jal ga.iiñ ḳhvāboñ kī ridā.eñ

bechain hai muztar hai pareshān hai ye ruuh
kab tak ise ehsās kī suulī pe chaḌhā.eñ

āñkhoñ meñ paḌhī jaatī hai saa.il kī zarūrat
chehre se sunī jaatī haiñ ḳhāmosh sadā.eñ

maiñ vaqt kī raftār kā ruḳh moḌ rahā huuñ
vo log jo Darte haiñ mire saath na aa.eñ

muñh moḌ rahe haiñ jo 'ziyā' jahd-o-amal se
jā kar dar-e-taqdīr kī zanjīr hilā.eñ

chaliye kahin sahra hi mein ab KHak uDaen
basti mein to sab jal gain KHwabon ki ridaen

bechain hai muztar hai pareshan hai ye ruh
kab tak ise ehsas ki suli pe chaDhaen

aankhon mein paDhi jati hai sail ki zarurat
chehre se suni jati hain KHamosh sadaen

main waqt ki raftar ka ruKH moD raha hun
wo log jo Darte hain mere sath na aaen

munh moD rahe hain jo 'ziya' jahd-o-amal se
ja kar dar-e-taqdir ki zanjir hilaen


Source: Book : Khushboo Rang Sada ke Sang (Pg. 87) Author : Preem Bhandari Publication : Westzone Culture Center Udaipur (2003) Edition : 2003

Leave a comment

+