Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dakhlan Bhopali

  • Ghazal


wo bas rassa-kashi thi


vo bas rassa-kashī thī
mohabbat thak chukī thī

do kashtī meñ nadī thī
zamīñ vīrān sī thī

achānak kyā ghaTā thā
mujhe hairāngī thī

nazar bhar us ne dekhā
maiñ samjhā pārkhī thī

kiyā sone ko miTTī
ġhazab kūza-garī thī

bachātā kaun ham ko
jabīñ par shal likhī thī

hameñ jis ne Duboyā
hamārī sādgī thī

masāfat ḳhatm thī par
thakan zinda khaḌī thī

havā zahrīlī thī par
badan meñ chal rahī thī

jise samjhe the jiinā
faqat vo ḳhud-kushī thī

maiñ bas thā nīm-bismil
mohabbat mar chukī thī

wo bas rassa-kashi thi
mohabbat thak chuki thi

do kashti mein nadi thi
zamin viran si thi

achanak kya ghaTa tha
mujhe hairangi thi

nazar bhar us ne dekha
main samjha parkhi thi

kiya sone ko miTTi
ghazab kuza-gari thi

bachata kaun hum ko
jabin par shal likhi thi

hamein jis ne Duboya
hamari sadgi thi

masafat KHatm thi par
thakan zinda khaDi thi

hawa zahrili thi par
badan mein chal rahi thi

jise samjhe the jina
faqat wo KHud-kushi thi

main bas tha nim-bismil
mohabbat mar chuki thi


Leave a comment

+