Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Raza

  • Ghazal


kabhi to dosto apne watan ki baat karen


kabhī to dosto apne vatan kī baat kareñ
kabhī to chāk-e-dil-o-pairahan kī baat kareñ

ḳhirad kī bazm meñ dīvāne-pan kī baat kareñ
hikāyatoñ meñ kisī sīm-tan kī baat kareñ

guloñ ke sāmne kyā fikr-o-fan kī baat kareñ
ye saada log haiñ un se chaman kī baat kareñ

ḳhayāl-e-yār salāmat hazār bazm-e-tarab
ġhazal ke naam pe gul-pairahan kī baat kareñ

mashām-e-jāñ meñ vo gesū mahakte jaate haiñ
kisī ḳhutan kī na mushk-e-ḳhutan kī baat kareñ

nigāh-e-fitna hai ek ik adā qayāmat hai
vo laakh ban ke baḌe bholpan kī baat kareñ

bhalī sī baat azīzoñ pe baar hotī hai
dayār-e-ġhair meñ kaise vatan kī baat kareñ

shanāsā chehre yahāñ ajnabī se lagte haiñ
hoñ ahl-e-zauq to ahl-e-suḳhan kī baat kareñ

jahāñ pe qatl ho urdu zabāñ nafāsat se
chalo kuchh aaj usī anjuman kī baat kareñ

kabhi to dosto apne watan ki baat karen
kabhi to chaak-e-dil-o-pairahan ki baat karen

KHirad ki bazm mein diwane-pan ki baat karen
hikayaton mein kisi sim-tan ki baat karen

gulon ke samne kya fikr-o-fan ki baat karen
ye sada log hain un se chaman ki baat karen

KHayal-e-yar salamat hazar bazm-e-tarab
ghazal ke nam pe gul-pairahan ki baat karen

masham-e-jaan mein wo gesu mahakte jate hain
kisi KHutan ki na mushk-e-KHutan ki baat karen

nigah-e-fitna hai ek ek ada qayamat hai
wo lakh ban ke baDe bholpan ki baat karen

bhali si baat azizon pe bar hoti hai
dayar-e-ghair mein kaise watan ki baat karen

shanasa chehre yahan ajnabi se lagte hain
hon ahl-e-zauq to ahl-e-suKHan ki baat karen

jahan pe qatl ho urdu zaban nafasat se
chalo kuchh aaj usi anjuman ki baat karen


Leave a comment

+