Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Ajmi

  • Ghazal


har samt shor-e-banda o sahib hai shahr mein


har samt shor-e-banda o sāhib hai shahr meñ
kyā ahd-e-talḳh hifz-e-marātib hai shahr meñ

har nā-ravā ravā hai ba-īñ nām-e-maslahat
ik kār-e-ishq ġhair-munāsib hai shahr meñ

kis husn-e-pur-tajallī kī har chiiz hai asiir
haibat ye kis ke hukm kī ġhālib hai shahr meñ

ik ḳhauf-e-dushmanī jo ta.āqub meñ sab ke hai
ik harf-e-lutf jo kahīñ ġhā.eb hai shahr meñ

maiñ tanhā biinā shaḳhs huuñ amboh-e-ḳhalq meñ
sab ā.inoñ kā ruḳh mirī jānib hai shahr meñ

is ḳhāk-e-murdā par kise āvāz deñ 'zafar'
hijrat ham aise logoñ pe vājib hai shahr meñ

har samt shor-e-banda o sahib hai shahr mein
kya ahd-e-talKH hifz-e-maraatib hai shahr mein

har na-rawa rawa hai ba-in nam-e-maslahat
ek kar-e-ishq ghair-munasib hai shahr mein

kis husn-e-pur-tajalli ki har chiz hai asir
haibat ye kis ke hukm ki ghaalib hai shahr mein

ek KHauf-e-dushmani jo taaqub mein sab ke hai
ek harf-e-lutf jo kahin ghaeb hai shahr mein

main tanha bina shaKHs hun amboh-e-KHalq mein
sab aainon ka ruKH meri jaanib hai shahr mein

is KHak-e-murda par kise aawaz den 'zafar'
hijrat hum aise logon pe wajib hai shahr mein


Leave a comment

+