Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Lubna Safdar

  • Ghazal


kuchh kahte zarur un se goyai nahin baqi


kuchh kahte zarūr un se goyā.ī nahīñ baaqī
sūrat to hasīñ hogī bīnā.ī nahīñ baaqī

dukh-dard kī sāthī thī milnā hai muhāl us kā
ik hashr sā barpā hai tanhā.ī nahīñ baaqī

ab dil meñ hai kyā mere is baat ko tum chhoḌo
is rāh-e-mohabbat meñ paspā.ī nahīñ baaqī

hālāt kī shiddat ne jhulsā.e badan aise
chehre kī ziyā ruḳhsat zebā.ī nahīñ baaqī

kuchh rañg-e-ḳhizāñ ne bhī gul aise khilā.e haiñ
lahjoñ meñ kahīñ bhī to ra.anā.ī nahīñ baaqī

kuchh kahte zarur un se goyai nahin baqi
surat to hasin hogi binai nahin baqi

dukh-dard ki sathi thi milna hai muhaal us ka
ek hashr sa barpa hai tanhai nahin baqi

ab dil mein hai kya mere is baat ko tum chhoDo
is rah-e-mohabbat mein paspai nahin baqi

haalat ki shiddat ne jhulsae badan aise
chehre ki ziya ruKHsat zebai nahin baqi

kuchh rang-e-KHizan ne bhi gul aise khilae hain
lahjon mein kahin bhi to ranai nahin baqi


Leave a comment

+