Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Bakul Dev

  • Ghazal


barishon mein ab ke yaad aae bahut


bārishoñ meñ ab ke yaad aa.e bahut
abr jo barse nahīñ chhā.e bahut

jaane kis ke dhyān meñ Duubā thā ḳhvāb
niiñd ne kañgan to khankā.e bahut

phir huā yuuñ lag gayā jī ishq meñ
pahle pahle ham bhī ghabrā.e bahut

manziloñ par baar thā raḳht-e-safar
aur ham aañsū bachā laa.e bahut

mujh se merā rañg māñge hai dhanak
rashk meñ yuuñ bhī haiñ ham-sā.e bahut

dil jo TuuTā saj gayā āñkhoñ kā haaT
is khañDar se nikle pairā.e bahut

zindagī āḳhir pashemāñ kar ga.ī
ham isī mohlat pe itrā.e bahut

qāfile ke ġham meñ ġham shāmil nahīñ
tum 'bakul' aage nikal aa.e bahut

barishon mein ab ke yaad aae bahut
abr jo barse nahin chhae bahut

jaane kis ke dhyan mein Duba tha KHwab
nind ne kangan to khankae bahut

phir hua yun lag gaya ji ishq mein
pahle pahle hum bhi ghabrae bahut

manzilon par bar tha raKHt-e-safar
aur hum aansu bacha lae bahut

mujh se mera rang mange hai dhanak
rashk mein yun bhi hain ham-sae bahut

dil jo TuTa saj gaya aankhon ka haT
is khanDar se nikle pairae bahut

zindagi aaKHir pasheman kar gai
hum isi mohlat pe itrae bahut

qafile ke gham mein gham shamil nahin
tum 'bakul' aage nikal aae bahut


Source: Deewan-e-Baqa

Leave a comment

+