Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Shirazi

  • Ghazal


bijli kaDki baadal garja main KHamosh raha


bijlī kaḌkī bādal garjā maiñ ḳhāmosh rahā
is kohrām meñ bhī ai duniyā maiñ ḳhāmosh rahā

sub.h kī chaap ne mujh ko sadā dī maiñ ne baat na kī
shaam kī chup ne mujh ko pukārā maiñ ḳhāmosh rahā

kitne giit bikherte mausam mere sāmne aa.e
maiñ thā jaatī rut kā saayā maiñ ḳhāmosh rahā

guzre mere paas se ho kar shor bhare mele
sail-e-havādis tū ne dekhā maiñ ḳhāmosh rahā

kitne paanī sar se guzre merī zabāñ na khulī
sāhil sāhil dariyā dariyā maiñ ḳhāmosh rahā

'ja.afar' dekh ke ġham barsātī zindagiyoñ ke samay
biit ga.ī is dil par kyā kyā maiñ ḳhāmosh rahā

bijli kaDki baadal garja main KHamosh raha
is kohram mein bhi ai duniya main KHamosh raha

subh ki chap ne mujh ko sada di main ne baat na ki
sham ki chup ne mujh ko pukara main KHamosh raha

kitne git bikherte mausam mere samne aae
main tha jati rut ka saya main KHamosh raha

guzre mere pas se ho kar shor bhare mele
sail-e-hawadis tu ne dekha main KHamosh raha

kitne pani sar se guzre meri zaban na khuli
sahil sahil dariya dariya main KHamosh raha

'jafar' dekh ke gham barsati zindagiyon ke samay
bit gai is dil par kya kya main KHamosh raha


Leave a comment

+