āñsuoñ ko roktā huuñ der tak
dhuñd meñ kyā dekhtā huuñ der tak
khul ga.ī alfāz kī haiñ khiḌkiyāñ
khiḌkiyoñ se jhāñktā huuñ der tak
peḌ se ishq-e-gilahrī dekh kar
us galī meñ dauḌtā huuñ der tak
ḳhāmushī bhī koī jharnā hai agar
kis liye phir boltā huuñ der tak
chiyūñTiyoñ ke bil meñ paanī Daal kar
kyuuñ tamāshā dekhtā huuñ der tak
aansuon ko rokta hun der tak
dhund mein kya dekhta hun der tak
khul gai alfaz ki hain khiDkiyan
khiDkiyon se jhankta hun der tak
peD se ishq-e-gilahri dekh kar
us gali mein dauDta hun der tak
KHamushi bhi koi jharna hai agar
kis liye phir bolta hun der tak
chiyunTiyon ke bil mein pani Dal kar
kyun tamasha dekhta hun der tak
Leave a comment