ġham ko vaj.h-e-hayāt kahte haiñ
aap bhī ḳhuub baat kahte haiñ
aap se hai vo yā hamīñ se hai
ham jise kā.enāt kahte haiñ
kor-zauqī kī intihā ye hai
log din ko bhī raat kahte haiñ
ye ġhalat kyā hai tajarbe ko agar
hāsil-e-hādsāt kahte haiñ
bach nikalnā fareb-e-hastī se
bas isī ko najāt kahte haiñ
jis mohabbat pe hai madār-e-hayāt
us ko bhī be-sabāt kahte haiñ
vo mire sher hī to haiñ 'sho.ala'
jin ko qand-o-nabāt kahte haiñ
gham ko wajh-e-hayat kahte hain
aap bhi KHub baat kahte hain
aap se hai wo ya hamin se hai
hum jise kaenat kahte hain
kor-zauqi ki intiha ye hai
log din ko bhi raat kahte hain
ye ghalat kya hai tajarbe ko agar
hasil-e-hadsat kahte hain
bach nikalna fareb-e-hasti se
bas isi ko najat kahte hain
jis mohabbat pe hai madar-e-hayat
us ko bhi be-sabaat kahte hain
wo mere sher hi to hain 'shoala'
jin ko qand-o-nabaat kahte hain
Source: Book : Shor ke darmayan (Pg. 59) Author : Jamal Owaisi Publication : Educational Publishing House (2006) Edition : 2006
Leave a comment