Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Dana

  • Ghazal


maut ne muskura ke puchha hai


maut ne muskurā ke pūchhā hai
zindagī kā mizāj kaisā hai

us kī āñkhoñ meñ merī ġhazleñ haiñ
merī ġhazloñ meñ us kā chehrā hai

us se pūchho azaab rastoñ kā
jis kā sāthī safar meñ bichhḌā hai

chāñdnī sirf hai fareb-e-nazar
chāñd ke ghar meñ bhī añdherā hai

ishq meñ bhī maza hai jiine kā
ġham uThāne kā gar salīqa hai

chhoḌ zaḳhmoñ pe tabsira karnā
ab qalam se lahū Tapaktā hai

raushnī kī zabān meñ 'dānā'
vo charāġhoñ se baat kartā hai

maut ne muskura ke puchha hai
zindagi ka mizaj kaisa hai

us ki aankhon mein meri ghazlen hain
meri ghazlon mein us ka chehra hai

us se puchho azab raston ka
jis ka sathi safar mein bichhDa hai

chandni sirf hai fareb-e-nazar
chand ke ghar mein bhi andhera hai

ishq mein bhi maza hai jine ka
gham uThane ka gar saliqa hai

chhoD zaKHmon pe tabsira karna
ab qalam se lahu Tapakta hai

raushni ki zaban mein 'dana'
wo charaghon se baat karta hai


Source: Book : Fasl-e-khayaal (Pg. 36) Author : Faiyaz Rashk Publication : Arshia Publications (2016) Edition : 2016 Book : Fasl-e-khayaal (Pg. 36) Author : Faiyaz Rashk Publication : Arshia Publications (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+