aur manzar haiñ bahut chashm-e-ḳharīdār meñ ab
ḳhvāb bikte hī nahīñ shahr ke bāzār meñ ab
shaam gul hotī chalī jaatī hai rafta rafta
sham-e-gul jaltī nahīñ gulshan-e-dīdār meñ ab
vā.iz-e-shahr nahīñ shahr-e-sitamgar bhī tamām
naqd-e-jāñ māñgte haiñ jur.at-e-inkār meñ ab
habs-e-jāñ hai ki umaDtā hī chalā aatā hai
bārish-e-mai bhī chalī jaatī hai be-kār meñ ab
shaiḳh-sāhab kabhī sīdhe to nahīñ the lekin
pech-dar-pech haiñ in jubba-o-dastār meñ ab
aur manzar hain bahut chashm-e-KHaridar mein ab
KHwab bikte hi nahin shahr ke bazar mein ab
sham gul hoti chali jati hai rafta rafta
sham-e-gul jalti nahin gulshan-e-didar mein ab
waiz-e-shahr nahin shahr-e-sitamgar bhi tamam
naqd-e-jaan mangte hain jurat-e-inkar mein ab
habs-e-jaan hai ki umaDta hi chala aata hai
barish-e-mai bhi chali jati hai be-kar mein ab
shaiKH-sahab kabhi sidhe to nahin the lekin
pech-dar-pech hain in jubba-o-dastar mein ab
Source: Book : auraq salnama magazines (Pg. 520) Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967) Edition : 1967
Leave a comment