Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Raghib

  • Ghazal


paikar-e-mehr-o-wafa ruh-e-ghazal yani tu


paikar-e-mehr-o-vafā rūh-e-ġhazal ya.anī tū
mil gayā ishq ko ik husn-e-mahal ya.anī tū

shahr-e-ḳhūbāñ meñ kahāñ sahal thā dil par qaabū
muztarib dil ko milā sabr kā phal ya.anī tū

ġham-e-dil ho ġham-e-jānāñ ki ġham-e-daurāñ ho
sab masā.il kā mire ek hī hal ya.anī tū

DhūñD kar lā.ūñ koī tujh sā kahāñ se āḳhir
ek hī shaḳhs hai bas terā badal ya.anī tū

pyaas kī zad meñ mohabbat kā shajar ya.anī maiñ
jis pe barsā na kabhī priit kā jal ya.anī tū

qalb-e-'rāġhib' meñ ajab shaan se hai jalva-fagan
dilrubā.ī kā hasīñ tāj-mahal ya.anī tū

paikar-e-mehr-o-wafa ruh-e-ghazal yani tu
mil gaya ishq ko ek husn-e-mahal yani tu

shahr-e-KHuban mein kahan sahal tha dil par qabu
muztarib dil ko mila sabr ka phal yani tu

gham-e-dil ho gham-e-jaanan ki gham-e-dauran ho
sab masail ka mere ek hi hal yani tu

DhunD kar laun koi tujh sa kahan se aaKHir
ek hi shaKHs hai bas tera badal yani tu

pyas ki zad mein mohabbat ka shajar yani main
jis pe barsa na kabhi prit ka jal yani tu

qalb-e-'raghib' mein ajab shan se hai jalwa-fagan
dilrubai ka hasin taj-mahal yani tu


Leave a comment

+