bhulā bhī de use jo baat ho ga.ī pyāre
na.e charāġh jalā raat ho ga.ī pyāre
tirī nigāh-e-pashemāñ ko kaise dekhūñgā
kabhī jo tujh se mulāqāt ho ga.ī pyāre
na terī yaad na duniyā kā ġham na apnā ḳhayāl
ajiib sūrat-e-hālāt ho ga.ī pyāre
udaas udaas haiñ sham.eñ bujhe bujhe sāġhar
ye kaisī shām-e-ḳharābāt ho ga.ī pyāre
vafā kā naam na legā koī zamāne meñ
ham ahl-e-dil ko agar maat ho ga.ī pyāre
tumheñ to naaz bahut dostoñ pe thā 'jālib'
alag-thalag se ho kyā baat ho ga.ī pyāre
bhula bhi de use jo baat ho gai pyare
nae charagh jala raat ho gai pyare
teri nigah-e-pasheman ko kaise dekhunga
kabhi jo tujh se mulaqat ho gai pyare
na teri yaad na duniya ka gham na apna KHayal
ajib surat-e-haalat ho gai pyare
udas udas hain shamen bujhe bujhe saghar
ye kaisi sham-e-KHarabaat ho gai pyare
wafa ka nam na lega koi zamane mein
hum ahl-e-dil ko agar mat ho gai pyare
tumhein to naz bahut doston pe tha 'jalib'
alag-thalag se ho kya baat ho gai pyare
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Malika Pukhraj
Leave a comment