ye ġham nahīñ hai ki ab āh-e-nā-rasā bhī nahīñ
ye kyā huā ki mire lab pe iltijā bhī nahīñ
sitam hai ab bhī umīd-e-vafā pe jiitā hai
vo kam-nasīb ki shā.ista-e-jafā bhī nahīñ
nigāh-e-nāz-e-ibārat hai zindagī jis se
sharīk-e-dard to kyā dard-āshnā bhī nahīñ
samajh rahā huuñ amānat matā-e-sabr ko maiñ
agarche ab nigah-e-sabr-e-āzmā bhī nahīñ
vo kārvān-e-nishāt-o-tarab kahāñ hamdam
jo DhūñDhiye to kahīñ koī naqsh-e-pā bhī nahīñ
hai dil ke vāste sham-e-umīd-o-mash.al-o-rāh
vo ik nigāh jise dil se vāsta bhī nahīñ
koī tabassum-e-jāñ-baḳhsh ko tarastā hai
shahīd-e-ishva-e-rañgīñ kā ḳhūñ-bahā bhī nahīñ
ye kyuuñ hai sho.ala-e-betāb kī tarah muztar
mirī nazar ki abhī lutf-āshnā bhī nahīñ
ba-shakl-e-qissa-e-dār-o-rasan na ho mash.hūr
vo ik fasāna-e-ġham tum ne jo sunā bhī nahīñ
tamām harf-o-hikāyat miTā ga.ī dil se
nigāh-e-nāz ne kahne ko kuchh kahā bhī nahīñ
vo kushta-e-karm-e-yār kyā kare ki jise
ba-īñ tabāhī-e-dil shikva-e-jafā bhī nahīñ
ye gham nahin hai ki ab aah-e-na-rasa bhi nahin
ye kya hua ki mere lab pe iltija bhi nahin
sitam hai ab bhi umid-e-wafa pe jita hai
wo kam-nasib ki shaista-e-jafa bhi nahin
nigah-e-naz-e-ibarat hai zindagi jis se
sharik-e-dard to kya dard-ashna bhi nahin
samajh raha hun amanat mata-e-sabr ko main
agarche ab nigah-e-sabr-e-azma bhi nahin
wo karwan-e-nishat-o-tarab kahan hamdam
jo DhunDhiye to kahin koi naqsh-e-pa bhi nahin
hai dil ke waste sham-e-umid-o-mashal-o-rah
wo ek nigah jise dil se wasta bhi nahin
koi tabassum-e-jaan-baKHsh ko tarasta hai
shahid-e-ishwa-e-rangin ka KHun-baha bhi nahin
ye kyun hai shoala-e-betab ki tarah muztar
meri nazar ki abhi lutf-ashna bhi nahin
ba-shakl-e-qissa-e-dar-o-rasan na ho mashhur
wo ek fasana-e-gham tum ne jo suna bhi nahin
tamam harf-o-hikayat miTa gai dil se
nigah-e-naz ne kahne ko kuchh kaha bhi nahin
wo kushta-e-karm-e-yar kya kare ki jise
ba-in tabahi-e-dil shikwa-e-jafa bhi nahin
Source: Patta Patta
Leave a comment