Subscribe to our newsletter and get our newest updates

M Kothiyavi Rahi

  • Ghazal


gumun nahin to kya main kahin ja ke paD rahun


gūmūñ nahīñ to kyā maiñ kahīñ jā ke paḌ rahūñ
bīmār aadmī kī tarah raat kaaT duuñ

dekhegā aaj merī taraf kaun pyaar se
bujhtā huā charāġh huuñ patjhaḌ kā chāñd huuñ

tasvīr ban ke dekh rahā huuñ jahān ko
tū hī batā ki aur maiñ ab kaise chup rahūñ

shīrīñ hai zahr maut kā ai talḳhī-e-hayāt
jī chāhtā hai aaj tirā jaam toḌ duuñ

is baare meñ to aap se behtar huuñ maiñ zarūr
piinā bhī paḌ gayā to piyā hai ḳhud apnā ḳhuuñ

ḳhat likh ke phaaḌ denā mire mashġhaloñ meñ hai
paḌhtī rahī hai aag mirā nāma-e-zubūñ

gir jā.egī ye chhat jo chalī jhuum kar havā
'rāhī' mirī hayāt hai ik qasr-e-be-sutūñ

gumun nahin to kya main kahin ja ke paD rahun
bimar aadmi ki tarah raat kaT dun

dekhega aaj meri taraf kaun pyar se
bujhta hua charagh hun patjhaD ka chand hun

taswir ban ke dekh raha hun jahan ko
tu hi bata ki aur main ab kaise chup rahun

shirin hai zahr maut ka ai talKHi-e-hayat
ji chahta hai aaj tera jam toD dun

is bare mein to aap se behtar hun main zarur
pina bhi paD gaya to piya hai KHud apna KHun

KHat likh ke phaD dena mere mashghalon mein hai
paDhti rahi hai aag mera nama-e-zubun

gir jaegi ye chhat jo chali jhum kar hawa
'rahi' meri hayat hai ek qasr-e-be-sutun


Leave a comment

+