Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Ehsani

  • Ghazal


sawera ho bhi chuka aur raat baqi hai


saverā ho bhī chukā aur raat baaqī hai
zarūr dil meñ abhī koī baat baaqī hai

ye log kis qadar ārām se haiñ baiThe hue
agarche hone ko ik vārdāt baaqī hai

kuchh aur zaḳhm-e-mohabbat meñ baḌh ga.ī hai kasak
ye soch kar ki abhī to hayāt baaqī hai

ye ġham judā hai bahut jald-bāz the ham tum
ye dukh alag hai abhī kā.enāt baaqī hai

jo merī terī mulāqāt kā sabab thā kabhī
vo lamha tere bichhaḌne ke saath baaqī hai

tamām beḌiyāñ to kaaT Daalī haiñ lekin
'jamāl' qaid-e-nafs se najāt baaqī hai

sawera ho bhi chuka aur raat baqi hai
zarur dil mein abhi koi baat baqi hai

ye log kis qadar aaram se hain baiThe hue
agarche hone ko ek wardat baqi hai

kuchh aur zaKHm-e-mohabbat mein baDh gai hai kasak
ye soch kar ki abhi to hayat baqi hai

ye gham juda hai bahut jald-baz the hum tum
ye dukh alag hai abhi kaenat baqi hai

jo meri teri mulaqat ka sabab tha kabhi
wo lamha tere bichhaDne ke sath baqi hai

tamam beDiyan to kaT Dali hain lekin
'jamal' qaid-e-nafs se najat baqi hai


Source: Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 206) Author : Hasrat Mohani Publication : uttar pradesh urdu academy (1983) Edition : 1983

Leave a comment

+