Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Mohammad Qasir

  • Ghazal


wo be-dili mein kabhi hath chhoD dete hain


vo be-dilī meñ kabhī haath chhoḌ dete haiñ
to ham bhī sair-e-samāvāt chhoḌ dete haiñ

jab un ke gird kahānī tavāf karne lage
to darmiyāñ se koī baat chhoḌ dete haiñ

duā kareñge magar us maqām se aage
tamām lafz jahāñ saath chhoḌ dete haiñ

diye hoñ itne ki ḳhvāboñ ko rāsta na mile
to shahr apnī rivāyāt chhoḌ dete haiñ

har ek shāḳh pe jab saañp kā gumāñ guzre
faqīr kashf o karāmāt chhoḌ dete haiñ

jamāl apne nazāroñ meñ kho gayā ai dil
so us kī mez pe sauġhāt chhoḌ dete haiñ

wo be-dili mein kabhi hath chhoD dete hain
to hum bhi sair-e-samawat chhoD dete hain

jab un ke gird kahani tawaf karne lage
to darmiyan se koi baat chhoD dete hain

dua karenge magar us maqam se aage
tamam lafz jahan sath chhoD dete hain

diye hon itne ki KHwabon ko rasta na mile
to shahr apni riwayat chhoD dete hain

har ek shaKH pe jab sanp ka guman guzre
faqir kashf o karamat chhoD dete hain

jamal apne nazaron mein kho gaya ai dil
so us ki mez pe saughat chhoD dete hain

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 wo be-dili mein kabhi hath chhoD dete hain Nomaan Shauque

Leave a comment

+