badan se jaañ nikalnā chāhtī hai
balā us ghar se Talnā chāhtī hai
yūñhī ātish-fishāñ kab jāgte haiñ
zamīñ karvaT badalnā chāhtī hai
hudūd-e-sahn-e-gulshan se nikal kar
sabā galiyoñ meñ chalnā chāhtī hai
dhuāñ sā uTh rahā hai chaar jānib
koī sūrat nikalnā chāhtī hai
havāoñ meñ nahīñ quvvat numū kī
magar Tahnī to phalnā chāhtī hai
jo chehra hai vahāñ phūlī hai sarsoñ
zamīñ sonā ugalnā chāhtī hai
badan se jaan nikalna chahti hai
bala us ghar se Talna chahti hai
yunhi aatish-fishan kab jagte hain
zamin karwaT badalna chahti hai
hudud-e-sahn-e-gulshan se nikal kar
saba galiyon mein chalna chahti hai
dhuan sa uTh raha hai chaar jaanib
koi surat nikalna chahti hai
hawaon mein nahin quwwat numu ki
magar Tahni to phalna chahti hai
jo chehra hai wahan phuli hai sarson
zamin sona ugalna chahti hai
Source: Book : Muasir (Pg. 228) Author : Habibullah Publication : Maktaba muasir 304 alfaisal palaza, Shahrah qaid-e-azam, lahore
Leave a comment