rātoñ kī god meñ the azāboñ ke silsile
āñkhoñ meñ phailte ga.e ḳhvāboñ ke silsile
paikār tham ga.ī to khulā raaz dosto
mīloñ talak the shahar-ḳharāboñ ke silsile
ab dil kī vus.atoñ meñ zarā aa ke dekhiye
yādoñ kī sar-zamīñ pe gulāboñ ke silsile
sahrā ho reg-zār ho yā shahr-e-ārzū
milte haiñ duur duur sarāboñ ke silsile
rañgīn āñchaloñ meñ vo lipTe hue jamāl
āñkhoñ meñ jhāñkte haiñ naqāboñ ke silsile
raaton ki god mein the azabon ke silsile
aankhon mein phailte gae KHwabon ke silsile
paikar tham gai to khula raaz dosto
milon talak the shahar-KHarabon ke silsile
ab dil ki wusaton mein zara aa ke dekhiye
yaadon ki sar-zamin pe gulabon ke silsile
sahra ho reg-zar ho ya shahr-e-arzu
milte hain dur dur sarabon ke silsile
rangin aanchalon mein wo lipTe hue jamal
aankhon mein jhankte hain naqabon ke silsile
Leave a comment