is shahr-e-ḳharābī meñ ġham-e-ishq ke maare
zinda haiñ yahī baat baḌī baat hai pyāre
ye hañstā huā chāñd ye pur-nūr sitāre
tābinda o pā.inda haiñ zarroñ ke sahāre
hasrat hai koī ġhuncha hameñ pyaar se dekhe
armāñ hai koī phuul hameñ dil se pukāre
har sub.h mirī sub.h pe rotī rahī shabnam
har raat mirī raat pe hañste rahe taare
kuchh aur bhī haiñ kaam hameñ ai ġham-e-jānāñ
kab tak koī uljhī huī zulfoñ ko sañvāre
is shahr-e-KHarabi mein gham-e-ishq ke mare
zinda hain yahi baat baDi baat hai pyare
ye hansta hua chand ye pur-nur sitare
tabinda o painda hain zarron ke sahaare
hasrat hai koi ghuncha hamein pyar se dekhe
arman hai koi phul hamein dil se pukare
har subh meri subh pe roti rahi shabnam
har raat meri raat pe hanste rahe tare
kuchh aur bhi hain kaam hamein ai gham-e-jaanan
kab tak koi uljhi hui zulfon ko sanware
Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 410)
Leave a comment