ab vafā kā subūt kyā duuñ maiñ
saarī duniyā kaho bhulā duuñ maiñ
maiñ ne apnoñ se duur jaanā hai
zindagī aa tujhe sulā duuñ maiñ
ik tirī zid na TūTne paa.ī
varna to arsh tak hilā duuñ maiñ
tum mujhe maut kī duā.eñ do
zindagī kī tujhe duā duuñ maiñ
tum jafāoñ meñ kyā karoge kamī
gar vafā.eñ zarā baḌhā duuñ maiñ
behtarī to isī meñ hai 'shākir'
dil se maazī ko ab miTā duuñ maiñ
ab wafa ka subut kya dun main
sari duniya kaho bhula dun main
main ne apnon se dur jaana hai
zindagi aa tujhe sula dun main
ek teri zid na TuTne pai
warna to arsh tak hila dun main
tum mujhe maut ki duaen do
zindagi ki tujhe dua dun main
tum jafaon mein kya karoge kami
gar wafaen zara baDha dun main
behtari to isi mein hai 'shakir'
dil se mazi ko ab miTa dun main
Leave a comment